Ho raat akeli pechlay peher
or chand aangan main ajaye
tum chand ki maanind tanha ho
yea baat tumhe tarpa jayee
kuch khawab saja kar palko pe
tum chand say batain kar lena
hum yaad tumhe ko karte hain
tum yaad hamay bi kar lena
kuch baat na ho jab aisa hi
num ankh tumhary ho jaye
tum baat kahin per karte ho
dil or kahin pe kho jayee
jazbaat k aisay alam main
muskaan labho per bhar lena
hum yaad tumhe ko karte hain
tum yaad hamay bi karlena
Thursday, December 27, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment