Wednesday, June 25, 2008

Poetry: paanay say khonay

paanay say khonay ka maza or hai
band ankhon mai ronay ka maza or hai
anso banay lafz or lafz banay ghazal
us ghazal main tairnay ka maza or hai

Poetry: Terey Firaq k lamhay

Terey firaq k lamhay shumaar karte huay,
bikhar gaya ho tera intezar karte huay,

tum ko khabar hi nai toot gaya hai koi,
muhabto ko bahut paidar karte huay